Create Awesome Graphics With 16 Best Online Designs Tools - Aap graphic designing seekhna chahte hain ya fir ek blogger hi hai to 16 Best Online Designs Tools ki hamari ye post apke bahut kaam ane wali hai. Designing ki field me designers ko update rahna padta hai. Kon se designs trend me hai. Kis tarah ke designs se users attract honge, in sab ki jankari ek achhe designer ko hoi chahiye.
Aaj main apko batane ja rha hu 16 Best Online Designs Tools ke bare me jinki help se aap bahut hi khubsurt designs create kar sakte hain. To zara ek nazar dal lijiye in 15 powerful online design tools par.
16 Best Online Designs Tools For Graphic Designers
Canva
16 Best Online Designs Tools ki list me sabse pahle main canva ko jagah di hai. Canva ek free online platform hai. Yaha par aap social media posts, covers, PDF files, presentations, invitations, business cards aur bhi bahut kuch designs kar sakte hain. Canva istemal karne me to bahut hi asaan hai sath hi sath apko trend ke hisab se designs bhi mil jate hai.Vectr
Vector elements create karne ke liye vectr.com ek bahut hi behtrin website hai. Agar apko CoreI Draw ya fir illustrator me kaam karne me muskil ati hai to aap is website ki madad le sakte hain. Yaha par web layouts se lekar bussiness card tak aur bhi bahut kuch aap 2 se 5 minutes me create kar sakte hain.Pablo
Pablo bahut hi simple online design tool hai. Ise buffer ne banaya hai. Is website ke pure interface me apko sirf 3 hi elements dikhai denge. Left side me picture gallery, graphic content area middle me aur right side me design ko customize karne ke liye tab.Placeit
Placeit ek mockup generator site hai. Aap apne brand ko differnt elements me dikha sakte ho Placeit ke jariye. Yaha par apko 2500 se bhi jyaada photos mil jayenge. Apko bus apne brand ka screenshot apni pasand ke mockup me place krna hota hai.BeFunky
Ye website to har kisi ke liye bani hui hai. Isme apko 3 main categories milti hai.- Photo Editor
- Collage Maker
- Designer
Snappa
Snappa ek creative marketing tool hai. Iska istemal karke aap har tarah ke social media platmorm ke liye amesome designs create kar sakte hai. Iske sath sath aap create kiye huye designs ko Buffer me shedule bhi kar sakte hain. Buffer ke bare me jald hi ek post likhunga.Recite this
Recite This bhi ek amazing tool hai. Apne social media me dekha hoga images ke sath quotes ajkal log kuch jyaada hi share kar rahe hain. Bus ye tool bhi kuch isi tarah ki images create karta hai. Isme aap badi hi asani se images aur font ko customize kar sakte hain.Also Read -
- Blog Rank SEO Tips My Best Method With Proof
- Google Adsense High CPC Keywords Se Earning Increase Aise Kare
Tiff
Is website ki madad se aapko ye understaning ho jayegi ki kon se design me kis tarah ka font sahi lagega. Ye website lagbhag har tarah ke fonts ko support karti hain. Aap easly fonts check kar sakte hai. Iska user interface bhi bahut hi simple hai. To agar fonts ko lekar apko koi confusion hai to Tiff ko jarur try kijiye.Pictaculous
Ye ek online palette generator website hai. Pictaculous me aap koi bhi graphic ya image upload kar dijiye. Ab apko us image se related ek color palette mil jayega. Ye chiz tab kaam ati hai jab aap koi new design banane ja rhe ho. New design banane me colors ke liye hamesa difficulty hoti hai ki kon sa color design me sahi rahega. Apki isi problem ka solution hai Picta Culous.Color Zilla
Color Zilla basically ek eye dropper tool hai. Maan lijiye aap kisi website ko explore kar rahe hai aur apko kisi element ka color bahut pasand aaya. Aise me aap chahte hai ki uska HEX code mil jata to main use apne design me istemaal kar sakta hu. Color Zilla basically yahi kaam karta hai. Apko jo bhi color pasand ho aap bus us par click kar dijiye apko uska HEX code mil jayega. Iske sath sath apko Ultimate Gradient Generator bhi milta hai.Piktochart
Agar aap powerful infographics banana chahte hai wo bhi kam time me to Piktochart apke liye bahut hi faydemand sabit hoga. Ye website apne 600 se bhi jyaada free design ke chalte din prtidin famous hoti ja rahi hai. Piktochart ki madad se aap free me infographics to bana hi sakte hain sath hi sath presentations aur printables file ready kar sakte hain.Infogram
Is website ke through bhi aap bahut hi achhe achhe infographic bana sakte hain. Iski ek khas baat hai ye ki aap apne designs me video bhi add kar sakte hai. Easy aur drag and drop option se apko kaam karna bahut hi achha lagega. Aap chahe to is website ki madad se maps aur charts bhi create kar sakte hain.Picmonkey
Picmonkey bhi canva ki hi tarah kaam karta hai. Isme aap fast kaam kar sakte hai. Photo editing se lekar graphic elements tak sab kuch apko is website me mil jayega. Aap collages aur amesome designs is website ki help se bana sakte hain.Pixlr
Pixlr ek online photo editor website hai. Yaha par apko 600 visual effects, overlays, aur borders mil jayenge. Jinki madad se aap awesome designing kar sakte hai wo bhi bina kisi skill ke. Inki application bhi hai jise aap play store se download kar sakte hain. Isme aapko free vector editor, free fonts aur free graphics mil jayenge.Createbrief
Kisi bhi design ko banane se pahle kuch jaruri bate hoti hai. Design ko banane ke pichhe kya purpose hai? Apki target audience kya hogi ? Ye website yahi kaam karti hai. Bus is website ka istemal kijiye aur free design brief templates kuch hi der me create kar lijiye.Tinkercad
Last me apko bahut hi behtrin website ke bare me bata rha hu. Abhi tak maine jitni bhi website batayi wo thi to mazedar lekin unse aap 3D object nahi bana sakte hain. Ji ha 3D object, apne sahi read kiya. Tinkercad ki help se aap 3D object design kar sakte hain. Isme apko bus ek object select karna hai fir adjust karna hai. Yaha par aap apni pasnad ke anusar 3D object create kar sakte hain.To dosto kaisi lagi apko hamari 16 Best Online Designs Tools ki post. I hope ki bahut pasand aayi hogi.
16 Best Online Designs Tools, Awesome Graphics Banane Ke Liye
Reviewed by Sumeet Dhiman
on
June 02, 2018
Rating:
bahut hi shandar post. mujhe photoshop nahi ata ab main canva me achhe designs bana sakta hu.
ReplyDeletethanks sir bahut achhi jankari hai
ReplyDeleteबहुत ही अच्छी जानकारी दी है आपने। इसी तरह पोस्ट लिखते रहिए।
ReplyDeletethanks Jamshed Azmi
DeleteSnappa's drag-and-drop editor, it’s quick and easy to create your own graphics for blog posts, social media profiles and ads. The tool provides access to more than half a million free stock photos, 70,000+ vectors and shapes, and 200+ fonts. It's free to download up to 5 files per month, or $10 a month for unlimited downloads.
ReplyDelete