Whatsapp All Tips and Tricks In Hindi

Whatsapp All Tips and Tricks

Ager aap whatsapp use karte hai to ye post aapke liye bahut ki helpful rehne wali hai, kyunki aaj ish post me main aapko whatsapp se judi huyi sabhi tips & tricks ke bare me btaunga. Dosto ye post padhne ke baad whatsapp se judi huyi tricks ke bare me janne ke liye aapko aur kisi post ko padhne ki jarurat nhi padegi. Kyunki isme main aapko sabhi tricks ke bare me bta dunga.

Friends ho skta hai ki in me se kuch tricks ke bare me aapko pahle se pta ho, lekin ek baat main yakin ke sath keh skta hu ki ish post me btayi gyi sabhi tricks ke bare me aapko pta nhi hai, ish liye ish post ko last tak jarur padhe aur ager whatsapp se relative aapke dimag me koi bhi sawal ho to aap niche comment box me comment karke puchh skte hai.

To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum sida topic par aate hai aur whatsapp ki tips aur tricks ke bare me baat karte hai.

1. Delete Sent Messages/Recall Messages

Ye whatsapp me naya feature juda hai. Ish feature ki madad se abhi ager aap whatsapp par galti se kisi ko koi message send kar dete hai to aap ushe wapas bula skte hai ya ushe wapas delete kar skte hai. Iske liye jaruri hai ki ya to aapke pass whatsapp ka beta version hona chahiye ya gb whatsapp hona chahiye. Ager aapke pass inme se koi sa bhi whatsapp hai to aap ish feature ko use kar skte hai.

Ish feature ko use karne ke liye simply aapko ush massage ko mark karna hai, jise aap delete karna chate hai aur uske baad aapko delete icon par click karna hai, uske baad aapko ‘Delete for everone’ aur gb whatsapp me Recall ka option mil jayega, ush par click karna hai. Uske baad wo message delete ho jayega. Ager aap ish feature ke bare me details se janna chahte hai to iske liye ye post padhe.

2. Download Whatsappp Status

Ish trick ki madad se aap aapke contacts dwara whatsapp par dale gye status ko download kar skte hai. iske liye bhi aapke pass 2 option hai.

1 Ager aap GB Whatsapp use karte hai to aapko status me hi ushe download karne ka option mil jayega.

2 Ager aap normal whatsapp use karte hai to iske liye aapko ek application download karni hogi, jiski madad se aap whatsapp status ko download kar skte hai. Application download karne ke liye aapko play store par jakar 'Save Whatsapp Status' likh kar search karna hai. Uske baad bahut sari apps aa jayengi jinki madad se aap whatsapp status ko mobile ki gallery me save kar skte hai. aapko jo application achhi lge aap wo download kar skte hai.

3. Unblock Your Self On Whatsapp

Friends ager whatsapp par koi person aapko block kar deta hai to aap khud apne aapko unblock kar skte hai aur ush person ko phir se massage send karna shrur kar skte hai. Iske liye aapko apna whatsapp account ek baar delete karna hoga. jaise hi aap apna account delete karenge to aap unblock ho jayenge uske baad aapko phir se ush number se apna account bnana hoga.

Ushi number se new account bnane ke baad aap phir se ush person ko masssage send karna shuru kar skte hai. but ager aap ek baar apna account delete kar denge to aapke sare messages aur groups delete ho jayenge. Ish liye ish baat ko dhyan me rakh kar hi apna account delete kare.

4. Delete Messages By Categories

Friends abhi aap whatsapp par messages ko categories ke hishab se sirf ek click me delete kar skte hai. Maan lijiye ki aap apne kisi whatsapp contact ya group ke sirf text massages ya photos ya videos ko delete karna chahe to unhe sirf ek click me delete kar skte hai. iske liye aapko Whatsapp Settings>Data and Storage Usage>Storage Usage me jana hai.

Uske baad aapke sabhi contacts aur groups aapke samne aa jayenge. aapko jiske messages delete karne ho ush par click kar de. uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.

Ynha par aapko 'Manage Messages' par click karke un categories ko select karna hai jin category types ke messsages aap sirf ek click me delete karna chahte hai aur uske baad 'Clear Messages' par click kar dena hai. Jaise hi aap aisa krenge to wo messages delete ho jayenge.

5. Whatsapp Par Unknown Number Ki Details Kaise Pta Kare

Friends ager whatsapp par aapko koi unknown number se massage karta hai to abhi aap uska pta lga skte hai ki wo number kisi ka hai. iske liye aapko whatsapp me ush number par click karke 'View Contact' karna hoga. jaisa ki aap image me dekh skte hai.
Ynha par aap dekh skte hai ki wo number whatsapp par kisi naam se registered hai, iske alawa ager wo person aise kisi group me add hai jisme aap bhi add hai to uska pta bhi aapko ynha chal jayega.


6. Ek Mobile Me 100 Whatsapp Chlaye

Ish trick ki madad se aap ek mobile me 100 ya 100 se bhi jyada whatsapp ek sath apne mobile me chla skte hai. Iske liye aapko ek app download karna hoga jisk naam 'MoChat' hai .

Waise jyadatar log ek mobile me 2 whatsapp chlane ke liye parallel space app ko use karte hai. but parallel space app download karne ke baad bahut heavy ho jata hai, jiske karan mobile hanq bhi hone lag jata hai. lekin ye app parallel space se kabhi lite aur kam data use karta hai. jis se mobile hanq nhi hota hai. ish liye aap apne mobile me ek se jyada whatsapp chlane ke liye ish app ko use kar skte hai.

7. Lock Personal Or Group Chat

Ish trick ki madad se aap whatsapp par apni kisi bhi personal ya group chat par password set karke ushe lock kar skte hai. Iske liye aapko ek app download karna hoga, jiska naam 'Whatsapp Chat Locker' hai. ish app ki madad se aap aasani se whatsapp par apni kisi bhi personal ya group chat ko lock kar skte hai. Iske bare me aur aadhik janne ke liye ye post padhe.

8. Hide Whatsapp Chat

Whatspp par ager aap apni kisi personal chat ko hide karna chahe to kar skte hai. iske liye sabse pahle aapko ush chat mark karna hai, jise aap hide karna chate hai, uske baad aapko upper archived chat ka option mil jayega aapko ush par click karna hai.


Ush par click karte hi aapki wo chat whatsapp se hide ho jayegi. Ager aap ush chat ko dekhna chahe to ish ke liye aapko Chat History me sabse niche jana wnha par aapko wo chat archived chat me mil jayegi.

9. Auto Reply

Ish trick ki madad se aap whatsapp par apne friends ke messages ka auto replay kar skte hai. Auto reply ka matlab hai ki maan lijiye ki aapko whatsapp par koi person message karta hai to uska jwab dene ke liye aapko khud message karne ki jarurat nhi padegi balki ish feature ki madad se ush person ke pass aapki tarf se automatic hi reply chla jayega.

Ager aap ish feature ko use karna chate hai to iske ke liye bhi aapko ek app download karna padega, App download karne ke liye aapko play store me jakar 'Auto Reply For Whatsapp' likh kar search karna hai.

Uske baad aise bahut sare apps aa jayenge jinki madad se aap whatsapp par messages ka auto reply kar skte hai.

10. Whatsapp Par Khud Ko Message Kaise Kare

Ager aap whatsapp par apne aap ko hi message karna chahe to kar skte hai, iske liye sabse pahle aapko ek group banana hai. jisme aapko apne kisi bhi ek contact ko add karna hai. uske baad jab group create ho jaye to aapko ush person ko wapas remove kar dena hai.

uske baad ush group me sirf aap akele honge. ab jab bhi ap ush group me koi massage karenge to wo message sirf aapke pass hi aayega.

11. Logout Whatsapp

Ager aapko apne mobile me whatapp ko logout karna ho to aap settings>apps>whatsapp me jakar clear data kar denge to whastapp application me se aapka account logout ho jayega. Iske bare me bhi details se janne ke liye aap ye post padh skte hai.

12. Kisi Dusre Ka Whatsapp Apne Mobile Ya Pc Me Chlaye

Ish trick ki madad se aap kisi bhi person ke whatsapp ko apne mobile ya pc me chla skte hai iske liye sabse pahle aapko apne mobile ya pc ke kisi bhi browser me web.whatsapp.com site par jana hai. aur ush mobile ke whatsapp me jakar whatsapp web me jana hai, jiska whatsapp aap apne mobile ya pc me chlana chahte hai.

Uske baad aapke mobile browser me whatsapp web ki site ka page open hoga jisme ek QR code hoga. Aapko ush code ko scan karna hai. jaise hi wo code scan hoga to aapke mobile me ush person ka whatsapp open ho jayega. Jnha se aap ush account ko apne hisab se control kar skte hai.

13. Whatsapp Par Ulta Text Kaise Type Kare

Friends aapne whatsapp par kuch aise massage dekhe honge, jo ki ulte aksro me type kiye huye hote hai. Ager aap bhi ushi trah ke messages ulte aksro me type karna chate hai to kar skte hai. Iske liye internet par ek website hai, jiska naam Typeupsidedown.com hai. Ish website ki madad se aap aasani se kisi bhi text ko ulta type kar skte hai, iske bare me details se janne ke liye aap ye post padh skte hai.

14. Ek Click Me Unlimited Messages Send Kare

Friends ager aap whatsapp apne kisi friend ko sirf ek click me 100, 500 ya 1000 messages ek sath send karke ushe prank karna chahte hai to kar skte hai. Iske liye play store se aapko ek application download karni hogi, jiska naam Labalabi For Whatsapphai. ish app ki madad se aap kisi ko bhi sirf ek click me unlimited sms send kar skte hai. Iske bare me details se janne ke liye ye post padhe.

15. Unlimited Whatsapp Groups

Ager aapko bahut sare whatsapp groups me add hona pasand hai to iske liye bhi play store par aapko bahut sari applications mil jayengi. Jinki madad se aap unlimited whatsapp groups join kar skte hai. Iske liye aapko play store me 'Groups For Whatsapp' likh kar search karna hai.

Uske baad aapko bahut sare apps mil jayenge jinme aapko bahut se group links mil jayenge. aapko un me se jo achha lge aap wo download kar skte hai aur ush se unlimited groups join kar skte hai.

16. Send APK File On Whatsapp

Friends ager aap whatsapp par kisi ko koi apk file send karna chahte hai to kar skte hai. Iske liye aapko jis bhi file ko send karna hai usko rename karna hoga, aur ush file ke naam me (.) ke baad ‘apk’ ki jgah ‘txt’ likhna hoga. uske baad aap jisko wo send karna chahte hai ushe kar skte hai. File send karne ke baad aap samne wale person ko bol de ki wo file download hone ke baad wo wapas uska rename karke ‘txt’ ki jgah ‘apk’ likh de. taki wo apne mobile me ushe install kar ske.
Whatsapp All Tips and Tricks In Hindi Whatsapp All Tips and Tricks In Hindi Reviewed by Sumeet Dhiman on December 21, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.