Google Play Store Se Paid Apps Free me Download Kaise Kare (Leaglly)

Google play store ke paid apps free me download kaise kare! aajke is post me main aap logo ke sath share karunga play store se paid apps ko free me kaise download karte hai. Aagar aapko nahi pata hai karte hai to aap is post ko follow karke asani se kisi bhi paid app ko free me install kar sakte ho. 

Dosto ye bilkul legally aap kar sakoge. Lekin aagar aap soch te ho ki google play ke kisi bhi game apps ko aap free me download kar sakoge to dosto aap galat sochte ho aap un sab apps ko download kar sakoge jo paid aap kuch din ke liye free me dega. 

google play par aisa hajaro paid apps hai aur jo apps kabhi na kabhi 1, 2, 3 din ke liye free me deta hai aur usi time aapko us app ko download karni hai. lekin itna sare app me se aapko kaise pata chale ga konsa app kab free me dega to dosto aaj main aap wohi batene wala hu.


Paid App Ko Free Me Download Kaise Kare ?

Google play par jitna paid apps hai wo kabhi na kabhi kuch din ke liye paid apps ko free me download karne deta hai, lekin kab deta hai wo jnna bahuti muskil hai, lekin aaj main jo app and tips share karunga usko use karke aap asani se pata laga sakoge ki konsa paid aap kab free me de raha hai. to chaliye dekhte hai.



Step 1. Paid apps ko free me download karne ke liye aapko pahle ek app install karna hoga aapne mobile par jiska naam hai "Paid Apps Gone Free" to ye app aapko play store par mil jayega, aagar nahi milta hai to niche se download and install kare.

App Download


Step 2. App install karne ke bad app ko open kare, open karne ke bad dekhiye aapke samne ek list open hoga, ye ek update hai jo har din update hota hai kon konsa app free me de raha hai uska aap ekdam latest update par click kare top par jo hai us par click kare.




Step 3. Aabhi aapke samne ek website open hoga usi website ke thoda niche dekhiye aapko bahut sare app dikhega jo paid hai lekin aapko free me milega, aapko jo aap chahiye aap us par click kare auto wo aap google play par open hoga.





Step 4. Aabhi aapke samne jo google play ki page open hoga aap usme dekhiye aapko bata dega ki ye aap kitne din tak free me download kar sakoge niche ki app dekhiye ek game hai jo 5 din tak play store par free milega iske matlab aap 5 din me se kisi bhi din isko download karke free me install karke lifetime use kar sakte ho.




Friends main ummid karta hu ki aapko ye post helpful laga hai, to aap isi traha google play store ke paid app ko free me download and install kar sakte ho, to aagar aapko lagta hai ye post aapke kam aya hai to please post ko share kare, aajke liye itna hi thanks.
Google Play Store Se Paid Apps Free me Download Kaise Kare (Leaglly)  Google Play Store Se Paid Apps Free me Download Kaise Kare (Leaglly) Reviewed by Sumeet Dhiman on December 14, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.