Hello to all Tricksinhindi visitors. Apne meri pichhli post me jana ki kaise hum blogger.com me free me ek blog bana sakte hai. Ab apne free blog to bana liya par ab usme kuch post dalne se hi aap blogging suru kar sakte ho. Blogger me post kaise likhte hai uski kuch basic jankari apko main apni is post me dene ja rha hu.
Blogger me post kaise likhte hai
Chaliye ab dekhte hai ki How to create a good post in blogger. Blog bana dene ke baad apke samne ek dashboard open hota hai. Iske left hand side me apko bahoot sare options milenge. In sabhi options ki jankari apko meri next post me milegi. Inhi option me sabse uper apko New Post ka ek option dikh raha hoga. Post likhne ke liye aap is button par click kar dijiye.
Ab apke samne kuch niche di gyi image ki tarah window open hogi. Post likhne se pehle main apko iske pure interface ke baare me bata deta hu.
- Post Title - Yaha par apki post ka title aayega. Ise H1 ya Heading 1 ke naam se bhi jana jata hai. Yaad rakhe kabhi bhi jyda lambi ya jyda chhoti heading na rakhe. Heading bhi aise hone chahiye jo user ko impress kare.
- Formatting Bar - Image me jo red line apko dikh rhi hai ye puri formatting bar hai. Aap is bar ke tools ki help se apni post ko nikhar sakte hai.
- Yaha par apki puri post likhi jayegi. Post ko hamesa 300 words se jdya rakhna chahiye. Post ko hamesa paragraph me likhna chahiye. Jaha par points ki baat hoti hai waha aap bullets ka istemaal kar sakte hain.
- Lables - Ye show karta hai ki apki post kis category ki hai. Agar aap mobile se related koi post likh rahe hai to Lable me jakar Mobile type karen.
- Schedule - Ye bahoot hi achha feature hai. Is feature ki help se aap apni post ko kisi specific time par auto post karwa sakte hai.
- Permalink - Ye bahoot hi jaruri part hai kisi bhi blogger ke liye. Ye SEO ke lihaz se bhi bahoot jaruri hai. Meri post ka title hai Blogger Me New Post Kaise Likhte Hain to is post ka permalink hoga www.tricksdekho.com/blogger-me-new-post-kaise-likhte-hai ya fir www.tricksdekho.com/how-to-create-new-post-in-blogger
To ye thi kuch basic jankari blogger me new post likhne ki. Agar aap post me koi code paste karna chahte hai jaise youtube ka video to HTML wale button par click karke code paste kar sakte hai. Umeed karta hu ki aapko post likhne ka pata lag gya hoga. Meri next post Blogger me custom template kaise set kare jarur pade
Blogger me custom template kaise set kare jarur pade
Blogger Me New Post Kaise Likhte Hai
Reviewed by Sumeet Dhiman
on
August 20, 2017
Rating:
No comments: