Blogger me custom template kaise lagate hai.

Blogger me custom template kaise lagate hai.


Hello dosto maine apko pichhli post me btaya tha ki blogger me post kaise likhi jati hai. Apke blog par agar 15 ya is se adhik post ho chuki hai to ab bari ati hai apke blog ko sunder banane ki.


Dosto blogger ki default theme hoti hai jo users ko itna attract nahi kar pati. Vistiors ko hamara blog achha lage iske liye hum apne blog me template set kar sakte hai. Aaj ki meri is post me Blogger me custom template kaise set kar sakte hai ki jaankari milegi.


Internet par aisi bahut si template apko mil jayegi. Kuch template free hoti hai to kuch ke liye thodi keemat chukani padti hai. Yaha main apko free template kaise download kare aur apne blog me apply kaise kare uski jankari dene ja rha hu.


Sabse pahle aap meri is post 10 best and fast loading blogger template for free me jaye. Yaha par apko bahut hi behtrin templates milegi. Ye sabhi free version ke sath bhi ati hai. Apko jo bhi template pasand ati hai use download kar kijiye. Tempate zip file download hogi. Aap ise unzip kar lijiye


 How to set custom template in blogger
  1. Sabse pahle apko koi achhi si template download karni padegi. Free template download karne ki kuch behtrin website ki jankari apko meri is post me mil jayegi. Agar apke paas pahle se koi template hai to next step dekhen. Nahi to koi achhi si template download kar lijiye. Aap Top 10 free blogger template yaha se bhi download kar sakte hai.


  1. Template download hone ke baad blogger ke dashboard me jaye. Yaha jo Theme wala button hai waha par click kar dijiye. Click karne ke baad Backup/Restore wale button par click kar dijiye.
how-to-set-custom-template-in-blogger.jpg
3. Ab apke samne Choose File ka button aa raha hoga is button par click kar dijiye. Apke computer me jaha bhi download ki hui template hai use choose kar lijiye. Template file xml ke naam se hoti hai. Ab upload par click kar dijiye. Aisa karte hi apki template set ho jayegi.


Ab apki template set ho chuki hai. Ab isme apni marji ke mutabik kuch changes apko karne pad sakte hai. Changes ke baare me puri detail template ke folder me documentation file me di hoti hai. Meri agli post Blogger me widgets kaise install karte hai post jarur padhe.



Blogger me custom template kaise lagate hai. Blogger me custom template kaise lagate hai. Reviewed by Sumeet Dhiman on August 20, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.