Kaise Kare Bina Internet Aur Whatsapp Ke Chatting

बिना इंटरनेट और व्हाट्सऐप के फ्री में करें चैटिंग chat without internet

chat without internet

Ajakal ki generation ek doosre se milne se jyda chatting me busy rahti hai. Whatsapp se lekar Messanger etc sabhi chatting application in dino khub istemaal ki jati hain. In apps ke jariye aap unse chat kar sakte hai jinke pass same application ho aur aap unke contact me ho. chat without internet

Ye to sabhi jante hai ki Whatsapp aur Messanger in dino sabse jyda famous hai. Lekin ye dono chat without internet yani ki bina internet ke chatting ki subidha nahi dete hai. Agar apke pass internet connection hai tabhi aap chat kar sakte hai nahi to ye apps kisi kaam ki nahi hain. Aaj hum apko batane ja rahe hai ki kaise kare Chat Without Internet

  How To Chat Without Internet? 

Hum apko ek aisa tarika batane ja rahe hain jis se aap bina internet ke bhi chatting kar sakte hai wo bhi bilkul free. Dosto Google Play Store me apko ek application search karni hai aur naam hai uska FireChat 

Yahi wo application hai jis se without internet chat hoti hai. Iski khasiyat ye hai ki ye apne aas pass 200MTR tak ka area cover kar leti hai. 

  Kaise Istemaal Karen FireChat Ko

Sabse pehle apne andorid ya IOS me FireChat ko download kar lijiye. Iske baad Username aur Password dal kar ise open kar lijiye. Sign hone ke baad apko 2 option milenge. Ek Chatroom with nearby aur doosra Chatroom with everyone ka. 

chat without internet

Chatroom with nearby me apko aas pass mauzud jo bhi is app ko istemal kar rahe hai sabhi users mil jayenge. Jabki chatroom with everyone me is app ko istemaal karne wale sabhi users milenge. Ab aap jis bhi user ke sath chat karna chahte hai use select kar dijiye aur lijiye maza Chat without internet ka.

Also Read - Bina Sim Card Change Kiye Ab Kare Doosre Number Se Call

Video Dekhe -


Kaise Kare Bina Internet Aur Whatsapp Ke Chatting Kaise Kare Bina Internet Aur Whatsapp Ke Chatting Reviewed by Sumeet Dhiman on August 30, 2017 Rating: 5

2 comments:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete

Powered by Blogger.