WiFi Ki Speed Slow Ho Gyi Hai To Apnaye Ye Tricks


 increase WiFi speed

How to increase WiFi speed WiFi Ki Speed ko tez karne ke tricks

Kai baar apke sath bhi aisa hua hoga ki WiFi ki speed kam hoti ja rahi. Aise me hum WiFi Router ko baar baar on off karne lag padte hai. Iske baad bhi WiFi ki speed me koi fark na padne par company walo ko kosne lagte hai. Lekin apko pata nahi hoga ki har baar kasoor company ke WiFi Router ka hi nahi hota. Kuch or bhi bajah ho sakti hai jiski bajah se apke WiFi ki speed kam hoti jati hai. Yahan par hum apko kuch tricks bata rahe hain jinhe aajma kar aap is samsya ka samadhaan minutes me kar sakte hain. 

Tricks to increasing WiFi Speed

Jagah badal kar dekhe - kabhi kabhar hum WiFi router ko kisi samaan ke pichhe rakh dete hai. Is se net ki speed me kami hona lazmi baat hai. Aap apne WiFi Router ki location badal kar is samsya se chhutkara pa sakte hai. Khidki ke paas ki jagah sabse badiya rahti hai.

Jamin par router ko na rakhe - Kabhi bhi apne router ko sidhe hi jameen par na rakhe. Is se router ko range nahi milti aur internet ki speed kam rahti hai. Router ko hamesa unchi jagah par hi rakhna chahiye. Iske liye aap kisi table ka istemal kar sakte hai.

Ek nischit doori rakhe - Kabhi bhool se bhi apne computer ya laptop ko router se door na rakhe. Apka computer router se jinta najdeek hoga speed utni hi achhi aayegi. Isliye router ko ek nischit doori pe hi rakhe.

Router ke aas paas gadgets na rakhe - Ye to aap bhali bhanti jante honge ki apke aas paas bahoot sari radio waves ghumti rahti hai. Ye waves bhi internet slow hone ka karn ban jati hai. Isliye ye dhayan me rakhe ki apke rounter ke aas paas koi gadgets to nahi rakhe hai.

Microwave oven ko router se door rakhe - Microwave oven se bhi internet ki speed kam rahti hai. Shayed ye baat apko pehle pta nahi hogi magar ye sach hai. Darasal microwave oven or router ek hi frequency pe kaam karte hai. Jiske chalte dono ki waves aaps me takraati hai or internet ki speed kam ho jati hai. Isliye aap router ko microwave se door hi rakhe to achha hoga.

Bluetooth ka istemal na kare - humne uper microwave ka jikr kiya. Ab baat karte hai bluetooth ki. Jab bhi aap net surfing kar rahe ho to Bluetooth ka istemal bilkul na karen kyuki Bluetooth 2.6 gigahertz par kaam karta hai jo ki net ki speed me badha dalta hai. Isliye aap jab bhi internet surfing kar rahe ho to Bluetooth ka istemal na kare.

Jhalar wali lights ko rakhe door - Ye baat apko thodi si ajiv lag rahi hogi par sach to ye hai ki WiFi router ke pass kabhi bhi jhalar wali lights nahi lagani chahiye. Iska sabse bada karan ye hai ki electromagnetic waves. Ye waves WiFi Router se nikale wali waves se milkar internet ki speed ko kam kar deti hai.

Heavy File ka download karna - Kabhi kabhi hum heavy files ko download pe laga dete hai. Jis se router pe load pad jata hai. Aise me internet ki speed kam hone lag padti hai. Isliye download soch samjh kar hi karna chahiye.
To ye thi kuch tricks jinhe apna kar aap apne WiFi ki speed ko jyda kar sakte hai.

WiFi Ki Speed Slow Ho Gyi Hai To Apnaye Ye Tricks WiFi Ki Speed Slow Ho Gyi Hai To Apnaye Ye Tricks Reviewed by Unknown on November 10, 2016 Rating: 5

1 comment:

  1. बहुत ही अच्छा आर्टिकल है। Very nice .... Thanks for this!! :) :)

    ReplyDelete

Powered by Blogger.