Free Internet Chalane Ki Trick In Hindi

free internet

Free Internet Chalane Ki Master Trick In Hindi. How to use free internet in mobile

Aaj ke daur me lagbhag har koi internet use kar raha hai. Facebook me chatting se lekar news dekhne tak ya fir online shopping karne ke liye sab kuch internet ki madad se hone laga hai. Par jab data pack khatm ho jaye to bahoot dukh hota hai. Uper se network companies ne apne data pack itne mahnge kar rakhe hai ki har koi inhe afford nahi kar pata. 

Aise me kya aap free internet ka use apne mobile me karna chahte hai? Hamari is chhoti si trick se aap airtel ki sim se free internet apne smartphone me use kar satke hai. Ye trick sirf airtel users ke liye hi hai. Isliye agar apke pass airtel ki sim nahi hai to aap ek new sim market se khard lijiye or maza liye is free internet ki trick ka.  Mahnge Data plans ko dhayan me rakhte huye hum aaj lekar aaye hai master trick of how to use free internet in your mobile. hum yaha apko do tricks batayenge. To chaliye suru karte hai.

Pahli trick se aise use kare free internet 

Is trick ke liye sabse pehle apki sim me thoda sa data hona jaruri hai taki hum kuch setting kar sake. Sabse pehle aap apne mobile OPERA MINI install kar lijiye. Install hone ke OPERA MINI ko open kijiye. Ab apke samne ek setting ka page open hoga. Ab is page jaha NO PROXY likha hai uspar jakar REAL HOST ko select kar lijiye. Iske baad proxy server me apko v.airtellive.com type karna hai. 

Type karne ke baad save pe click kar dijiye. Ab agar apne apni kisi doosri sim se data on kiya tha to ise off karke airtel wali sim ka data on kar lijiye. agar airtel se hi data on tha fir kuch bhi change karne ki jarurt nahi hai. ab apke smartphone me free internet ready ho chuka hai. 

Doosri trick se aise use kare free internet

Is trick ke liye sabse pehle aap apne mobile ki setting me jaye. Data usage ke niche apko Moreki option milegi. yaha pe click kar dijiye. ab Mobile Network pe click kar dijiye. Click karne ke baad Access Point Name pe tap kar dijiye. Ab paas option open honge in options me aap Airtel ko select kar lijiye. Ab Proxy pe click kar dijiye. Open hone ke baad putproxy.com type karen. Iske baad port me tap kijiye or 80 likh dijiye. Ab settings ko save kar lijiye.

Ab aap apne mobile ke browser ko open kijiye. Fir address bar me 203.115.112.27  type kare or ok kar dijiye. Ab aapke samne ek website open hogi. Jisme text box bna hoga . Is box me aap google.com type kijiye.  Ab apne mobile me free internet chalna suru ho gya hai. 
I hope apko ye post bahoot pasand aayi hogi. Apne dosto ke sath share kare or aise hi mazedar tips and tricks ke liye visit karte rahe www.tricksinhindi.com ko
Free Internet Chalane Ki Trick In Hindi Free Internet Chalane Ki Trick In Hindi Reviewed by Unknown on November 10, 2016 Rating: 5

1 comment:

  1. Internet Chalane Ki Trick In Hindi - All Tricks In Hindi - Seo, Digital Marketing In Hindi >>>>> Download Now

    >>>>> Download Full

    Internet Chalane Ki Trick In Hindi - All Tricks In Hindi - Seo, Digital Marketing In Hindi >>>>> Download LINK

    >>>>> Download Now

    Internet Chalane Ki Trick In Hindi - All Tricks In Hindi - Seo, Digital Marketing In Hindi >>>>> Download Full

    >>>>> Download LINK

    ReplyDelete

Powered by Blogger.