Google Keyword Planner Tool Kya Hai. Is se Traffic Kaise Badhaye

Google Keyword Planner Tool Kya Hai
Kya aap keyword research ke bare me janna chahte hai, to aap sahi post par ho. Google keyword planner tool kya hota hai aaj hum isi ke bare me batane ja rhe hain. Iske sath apko ye bhi pta chalega ki Google Keyword Planner Tool se kaise keyword research karte hai. Keyword research seekhne ke baad apke blog ka traffic bhi increase ho jayega. To agar apko nahi pata hai Google Keyword Planner Tool Kya Hota Hai, Is Se Kaise Keyword Research karte hain to Use My Tricks.

Ek perfect blogger wo hi mana jata hai jo proper way me keyword research karke apni blog post ko rank karwane me successful rahta hai.  Maine bahut se new bloggers ko dekha hai jo kisi doosre ke blog ko follow karke same article apne blog me publsih kar dete hai.
Aise me natiza ye niklta hai ki unki post rank hi nahi kar pati hai. Is bajah se wo log blogging hi chhod dete hain. To aap aisi galti ko avoid kare aur hamesha keyword par focus karke hi content publish karen.

Keyword Research Tricks Se Blog Ki Ranking Kaise Badhaye

Internet par bahut se keyword research tools apko mil jayenge magar Google ka keyword planner tool apke liye best rahega.

Google Keyword Planner Tool Kya Hota Hai

Google keyword planner tool Adwords platform ka ek part hai. Is tool ki madad se users Keyword find aur analyze kar sakte hain. Ye tool bilkul free hai aur SEO ke lihaz se apke blog ke liye ekdum sahi tool hai.

Keyword planner tool ki khasiyat

  • Isme aap product category ya fir phrase ke base par keyword research kar sakte hain.
  • Keyword ka monthly average search pta kar sakte hain.
  • Single keyword ya group keyword ka kitna volume hai.
Asan savdo me baat kare to yah ek aisa tool hai jiski madad se aap kisi bhi topic se related keywords ka pata laga sakte hain. Ye keyword pure month me kitni baar search kiya ja chuka hai. Isko rank karwana difficult hai ya nahi, ye sab aap is tool ki madad se pta kar sakte hain.

Google Keyword Planner Tool Ka Istemal Kaise Karte hain

Iske liye sabse pahle apko Google Adwords me account banana hoga. Chaliye iski puri process step by step dekhte hain.




  1. Sabse pahle Google Keyword Planner Tool Ko open kar lijiye.
  2. Ab aap create a new account par click karke account create kare.
Google-keyword-Planner tool
3. Ab Skip the guided setup par click kar dijiye.
Google-keyword-Planner-2
4. Agar apka pahle se Gmail account hai login kar lijiye nahi to create account karen.
5. Gmail se sign in karte hi apka Google Keyword Planner Tool me account ban jayega.
6. Ab aapko simply Tools par click karna hai.
Google-keyword-Planner
7. Search For New Keywords using a Phrase website and category par click karen




8. Enter one or more of the following: Your product or service me Keyword dale aur  Get Ideas par click karke aage badhe.
Get Ideas par click karne ke baad apko uper di gayi image ki tarah screen me Google Keyword Planner apke samne  Avg. monthly searches aur Competition dikha dega.  Aap apne liye badiya keywords jo Low Competition ke honge unhe bari bari se copy karke Notepad me ya fir post me paste kar lijiye.
Yaha par main apko suggest karunga ki aap kabhi bhi single keyword se search na kare. Agar aap single keyword se search karte hain to fir apko competition bahut jyada milega aur aap post ko rank nahi kar paoge. For example – Meri ye post Keyword planner ke bare me hai. To agar main Keyword ya fir Keyword Plannersearch krunga to competiton bahut high milega. Lekin agar aise krunga What is Keyword Planner tool to competition ke mamle me thoda low milega jis se post rank hone me help milegi.
Ab aap ye soch rahe honge ki aap kon kon se keyword choose karen. Keyword research ka bhi ek best trika hai. Sabse pahle aap wo keyword dekhe jinke  monthly searches  bahut jyaada hai. Magar yaha par ye jan lena bhi bahut jaruri hota hai ki wo keyword rank karwana easy honge ya nahi. Keyword rank karwana easy hai ya difficut ye aap KWFinder me jakar check kar sakte hain.
To dosto ye thi jankari Google Keyword Planner Tool Kya Hota Hai aur is tool se kaise traffic increase kiya ja sakt hai. Agar aapko is tool ko lekar koi swal hai to apna swal niche diye gye comment box me jarur puchhe.










Abhi padhne ke liye click kare







Google Keyword Planner Tool Kya Hai. Is se Traffic Kaise Badhaye Google Keyword Planner Tool Kya Hai. Is se Traffic Kaise Badhaye Reviewed by Sumeet Dhiman on June 10, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.