A New Way To Bypass Google Account Verification Android in hindi
Hello dosto aaj hum baat karne wale hain android device me google account verification ko remove yani ki bypass kaise kare? Apko iske bare me puri detail step by step di jayegi. Is tutorial ko dhayan se follow karen.
What Is Bypass Google Account Verification
Google account verification google dwara diya gya security feature hai. Ajkal jo bhi new mobile aa rhe hai wo isi option ke sath aate hai. Aap jab bhi apne phone ko reset karte hain to reset hone ke baad apse wo Gmail ID dalne ko bola jata hai jo apne first time istemal ki hoti hai. Ab agar aap Gmail ka password bhul gye hai to aap phone ko istemal kar hi nahi sakte.
Google account verification ko Factory Reset Protection (FRP) bhi kaha jata hai. Agar apke mobile me bhi yahi problem aa rahi hai to main suggest karunga ki aap kabhi bhi mobile shop me na jaye. Aisa isliye kyuki ye problem sirf 5 minutes me solve ho jati hai. Lekin shop wale apko kabhi bhi sach nahi batayenge. Apse 200 se lekar 400 rs tak paise bhi le lenge. Is problem ko aap khud hi thik kar sakte hai. Aaye jane kaise thik kare FRC problem ko.
How to remove Google Account Verification. Bypass FRC
Step 1 Google account verification ko remove karne ke liye sabse pahle aap kisi doosre phone se apne phone me call kar lijiye.
Step 2 Is step me apko apne phone me call receive kar leni hai.
link ads
Step 3 Ab screen me dikh rahe 3 dots par click kar dijiye aur Add call par ok kar dijiye. Aap niche diya gya screenshot dekh sakte hain.
Step 4 Is step me apki screen par dialer open ho jayega. Ab apko type karna hai *#*#4636#*#*
Step 5 Aisa karte hi apka mobile Testing screen par chala jayega. Ab yahan par apko bahut se option milenge.
Step 6 Apko Usage Statistics par click karna hai. Ab apke samne jo bhi screen khulegi us se hume koi lena dena hai. Aap top corner par bane back arrow par click karke phone ki main settings me aa jayenge.
Step 7 Ab apke mobile ki main settings open ho chuki hai. Ab aap Backup and reset wale option par click kar dijiye. Yaha apko Factory data Reset wale option par click karna hai.
Step 8 Ab is step me simply Reset phone ke option par click kar dijiye. Ab Erase everything par click kar dijiye.
Step 9 Is step me apka phone erasing mode par chala jayega. Thoda time wait kariy. Apka phone restart hoga jo 1 se lekar 3 minutes tak apko wait karwa sakta hai.
Step 10 Phone ON hone ke baad aap dekh payenge ki phone new settings ke sath ON hua hai. Ab bus aap koi bhi gmail account se is phone ko fir se istemal kar payenge.
To dosto ye thi jaankari kisi bhi phone me google account verification ko kaise remove ya bypass karte hai. Agar apko ye jaankari acchi lagi ho to is post ko dosto ke sath share karna n bhule.
Android Mobile Me Google Account Verification (FRP) Ko Kaise Remove Karte Hain?
Reviewed by Sumeet Dhiman
on
January 27, 2018
Rating:
![Android Mobile Me Google Account Verification (FRP) Ko Kaise Remove Karte Hain?](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEgYQfekWKf-VIa5IJe0Spjgd-HOE6JyLkNf9Jnx3sy3r0ILSwoIs2_3hZbsWzXh5bBFcmTrVS1BHbMqtxFMU6rwUqHQRk5BOIHACPIFUlhyYKp_jSHJzpukFSbX_1GIpdYhtdTiFaaQJA0/s72-c/Remove-FRP-Lock-On-any-mobile.jpg)
No comments: