AdSense policies क्या है ? पूरी जानकारी हिंदी में

AdSense policies

Google AdSense policies kya hai. Jise aqsar new bloggers janana chahte hai. Yha maine jo jankari share kiya hai, use dhyan se read kare, kyoki jo jankari mai batane ja rha hu, vo most important hai. Agar aap thik tarh se adsense ke rools ko fallow nhi karte hai, to aapka nukasan bhi ho sakata hai. kyuki adsense ke rools bahut hi sakt hote hai.



Google aapki har activities par najar rakhata hai. Aise me Ydi aap uski policy ke khilaf koi bhi work  karte hai to aapke adsense account ko block kar sakta hai. And kabhi bhi approvel nahi dena uske pas save hai. Yadi aap apne adsense account ko block hone se bachana chahate hai to AdSense policies update hamesha read kare, kyoki google AdSense policies change hote rahte hai. So new policies ko read karte rhe. AdSense policies ko janane se pahle kuchh common bate jan lete hai.


What is AdSense ?

Internet ki duniya me aaj blog/ website ki dhum machi hui hai. roj lakho log blog bana rhe hai. kya aap jante hai ki blog kyu banaye jate hai ? Nahi jante to mai aapko bata du ki aaj online income karne ke liye blogging sabse badiya option hai. And website banane aur design karne ke bad jab site par high traffic ho jaye to uspar kisi ad dikhane vali site ke ads lagakar paisa kama sakte hai.

Advertise site me google adsense sabse jyada famace company  hai. Kyoki ye sabhi advertize website se jyada paise deta hai. But iske kuchh rools hai, jinhe follow karna hota hai. Agar iske niyam ke khilaf kuchh bhi aapki site par milta hai to aapke account ko google disapproved kar deta hai. To chaliye google adsense policies ke bare me jane.

AdSense policies

Google rools ke anusar aap apni site par koi aisi jankari ya post samagri nahi dal sakte jise ye pasand nhi karta. Agar aap aisa karte hai. to iska khamiyaja aapko bhugatana padega. Ye nimn bate hai jise aap apne content me use nhi kare to achha hoga.

Invalid click

Adsense user ko kabhi bhi apne ads par bhulkar bhi clicks nhi karna chahiye. kya hota hai ki jinko adsense policy ke bare me jankari nhi hoti vo apni earning badhane ke liye khud hi click kar dete hai, ye galat tarika hai ise google pasand nhi karta. aur na hi dusro se kahkar ad par clicks karana hai. jaise kai bloggers apne freinds ko site ke bare me batakar ad par click karne ke liye kate hai, lekin aise click ko google jan jata hai. aur ye invalid mani jati hai.
iske alava koi bhi aisa works nhi karna hai jiski vajah se invalid clicks ho Nhi to aapka account hamesa ke liye disapproved ho jayega. Aise bahut se bloggers ko maine dekha hai jinka account invalid click ki vajah se hamesha ke liye band ho gaya hai. Agar aap apne account ko saf rkhana chahte hai to rools ko fallow kare.

Encouraging clicks

Ckicks badane ke liye, apne dosto ko site par visit ya ads par click karne ke liye kabhi bhi nhi kahna chahiye. Google kafi inteligent hai, use sab pata chal jata hai ki site par kaun kya karne ke liye visit kar rha hai. clicks increase karne ke liye niche diye works kabhi mat karna nhi to adsense disapprove ho jayega.
1. ad dekhane ya click karne ke liye kisi ko invite nhi karna hai.
2. Aap visitors ko ad par clicks karne ke liye nhi kah sakte, agar aisa koi words use karte hai, jiski vajah se impress hokar koi visitors vaha clicks karte hai to ye google policy ke khilaf hoga.
3. Site par ya content me koi pic ya arrow  nhi banaye jo ads clicks ki tarf isara karte ho.
4. ad ke aas-pas koi aisa image nhi add karna chahiye jisse visitors bhramit hokar ads par clicks kare.
5. Kisi script ya floting me ads ko add nhi kar sakte.

Post ki jankari

Aquser new bloggers apna blog se paisa kamane ke liye site par koi bhi jankari publish karna start kar dete hai. Yadi adsense approvel kisi tarh se ho jata hai to sabhi post me ad lagakar income karne ki sochate hai. jabki Aap kisi aise contant par ad nhi lga sakte jise google adsense pasand nhi karta hai. jaise-

1. Porn jankari, mature post.
2. Violent post ( jhagada- ladai).

3. Hacking ki jankari artical me add nhi honi chahiye.
4. kisi ke liye apne post me abouse use nhi kiya jana chahiye.
5. Gola barud, gun ke bare me content na likhe.
6. koi bhi abaidh jankari jo dusro ko nukasan pahuchati hai uspar content na type kare.
Aise anek topic hai jisko google like nhi karta hai. agar isse sambndhit aapke blog par artical hai to use delete kar de. nhi aapka adsense disapproved ho jayega.

Copyrighted Content

Google aisi site ya contant ko kabhi bhi pasand nhi karta, jis par kisi dusre website se koi post ya material copy karke apni site par add kiya gya ho. kyoki Digital Millennium Copyright Act ke anusar google adsense ads dena policy ke khilaf hai, jaha copyrighted material ho. Isliye mera suggetion hai ki jo bhi aapko jankari ho vahi likhe kisi dusre ka content copy na kare. and image to kabhi bhulkar bhi copy nhi karni chahiye.

Nkali saman 

AdSense user apni site ke kisi content me nakli saman ko sell karne ke bare me jankari share kiya hai, ya aisa koi saman jiska trademark pahchan me nhi aa rha hai, ya fir kisi brand ko apne saman par lagakr us brand ka apne ko malik batata hai. AdSense policies ke anusar Google aise contant par ad lagane ki anumti nhi deta. agar iske bad bhi lgate hai to adsense disapproved ho jata hai.

Traffic sources

AdSense policies ke anusar code ko us blog ya artical me nhi laga sakte, jaha par kisi special tarah se traffic aate ho jaise-
1. paid to click, atoserf, click-axchange-program ets.
2. Email se ads ko send karna ya kisi dusre site par code lagana.
3. kisi software ya tools ke thru search karne par kya hota hai ye dikhana jisse visitor prabhavit hote ho.
4. kisi browser ya software se links ko code ke page par redirect karna.
5. Internet se online traffic increase kar sakte hai, jiski jankari aapne ads me diya hai, lekin usko search karne me kisi visitors ko koi paresani nhi honi chahiye.

Site Behaviour

Maine kai site par dekha hai ki ve apne blog ko post me external links add karte hai, jisse visitors usapar click karke uske thru others site par chale jate hai. agar aapke bataye anusar jankari sahi hai tab to thik hai, anytha galat links ko google support nhi karta.
hamare kahne ka matlab hai ki Apne blog par aane vale visitors ko kisi aise links par clicks karne ke liye nhi kah sakte jha se kuch download ho ya malware or pop-up or pop-under hota ho. agar aisi galati karte hai to aapka adsense disapporaved ho sakta hai.

Ads Behaviour

Google ne adsense user ko kuchh had tak chhoot de rkha hai, lekin uske dayre me rahakar hi works karna hoga. New user ads ko costomize karke content ke anurup hi ad unit ko bana dete hai, jisse visitors ad ko content samgri samjhkar uspar click karte hai. Ise google pasand nhi karta. Aap ad code ko customize kar sakte hai, but usme kuchh bhi extra dikhai nahi dena chahiye. jisse ki adsense ko koi problem ho.

Ads Placement

AdSense policies ke anusar Apne site ke thik jagah par ad unit customiz karke lga sakte hai, adsense anek jagah par code ko add karne ki choot deta hai.
Jaise- content me  kahi bhi ad unit place kare, aquser bloggers title tags ke niche lagate hai, sidebar me ad lagate hai, header me lagaye, inside post me ad unit create karke laga sakte hai.
Lekin usme email, search engine, pop-up box, other site nahi hai. kahane ka matalab aap gmail search-engine pop up in sab me ad unit place nahi kar sakte.

Gambling post

Apni site par gambling content ko nhi publish kar sakte. ise google like nhi karta. ydi juva se relative koi bhi post dalte hai, to ad lagane par google aapki site ko nakar deta hai. lekin ek bat par dhyan de ye rools  har contry me alag-alag hota hai. Lekin jyadatar contry me is type ke content ko google adsense support nhi karta hai. Aur india me to bilkul bhi nhi. agar aap india se velong karte hai. to bhulkar bhi aise post par adsense ke ad na lagaye nhi aapka account disapproved ho jayega.
I hope AdSense policies jankari ho gayi hogi. Lekin ye policy hamesa change hote rahte hai, Isliye adsense policy ka update read karte rhe. Agar ye jankari aapko achhi lagi ho to Comment karke apni pratikriya jarur de. Ydi post achha lage to social media par apne dosto ke sath share jarur kare.
AdSense policies क्या है ? पूरी जानकारी हिंदी में AdSense policies क्या है ? पूरी जानकारी हिंदी में Reviewed by Sumeet Dhiman on December 25, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.