Corel Draw Me Freehand Tool Ka Istemal Kaise Karte Hain

CorelDraw ki hindi training me apka swagat hai. Maine apni pichhli post me Zoom Tool Ka Istemal Kaise Karte Hai bataya tha. Aaj ki post me Freehand tool ko corel me kaise istemal karte hai batane ja rha hu.

Freehand Tool In Coreldraw

Freehand tool ek gazab ka tool hai. Jab aap corel draw me expert ho jate ho aur mouse par apka control achha ban jata hai to is tool se kaam karne ka maza hi alag hota hai. Freehand tool ko kis tarah se istemal karna hai chaliye seekhte hai.

Sidhi Line Khinchne Ke Liye - Freehand tool

Is tool se hum sidhi line bhi khinch sakte hai. Jaise ek par click kare fir jaha tak line draw karni ho waha par click kar dijiye. Line ekdum sidhi draw hogi. Agar koi shape banani ho to fir pahli line ke sabse last nod par click karke doosra click karoge to us line me hi ek new line ban jayegi. Niche di gyi image ko dekhe. Is se apko jaldi samjh aayega.


corel draw free hand ki jankari hindi me

To is tarah se aap koi object bana sakte hai. Iske baad bari ati hai curve banane ki. 


Curve Shape Banane Ke Liye

Iske liye sabse pahle freehand tool ko select karke jaha se jaha tak curve banana hai wo bana dijiye. Jis tarah se aap pencil se page par kuch object banate hai thik waise hi. Niche di gyi image ko dekhiye.


corel draw ki jankari
To image me banaye gaye object ko agar aap thoda nikharna chahte hai to F10 key press karke Shape tool ko select kar lijiye. Ab is tool ko baher se click karke drag karte huye pure object ko select kar lijiye. Ab aap dekh paoge ki object ke sare nodes activate ho gye hai. 

Also Read - 
Ab uper right side me ek  Reduce Nodes ka option aayega. Bus iski reading jyada kar dijiye aur fir apka object ek dum perfect shape me aa jayega. Aap agar bich bich me diye gye kuch nodes ko delete karke bhi shape ko perfect bana sakte hai.



corel draw in hindi

To ye the kuch steps freehand tool ko istemal karne ke. Agar apko coreldraw ke bare me kuch bhi puchhna ho to niche diye comment box me apna swal puchh sakte ho.





Corel Draw Me Freehand Tool Ka Istemal Kaise Karte Hain Corel Draw Me Freehand Tool Ka Istemal Kaise Karte Hain Reviewed by Sumeet Dhiman on September 13, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.