AdSense Ko Kab Apply Karna Chahiye - Trick In Hindi

AdSense ko kab apply karna chahiye


AdSense Ko Apply Karne Se Pahle Jane Ye Jaruri Rules

Friends main personally ye baat jaanta hun ki jab adsense ke liye application approved hoti hai toh kitni khusi hoti hai. Kyuki adsense sabhi advertising proprams se sabse jyaada profitable hai. Isliye apneblog se income karne ke liye adsense best option hai. Magar AdSense har kisi ka asaani se approve nahi hota. Iske kuch rules hai jiske bare me aap niche read kar sakte hai.


New blogger ko ye janna bahut jaruri hai ki blog banane ke bad use AdSense se kab jodna hota hai. or AdSense ke liye apply karne ka sahi time kab hota hai. Blog banane ke bad kya kya karna hota hai. New blogger ko iske bare me jyada kuch pata nahi hota hai. Aur wo ek do post share karte hi AdSense ke liye apply kar dete hai. Jiska natija ye hota hai ki unka AdSense account approve nahi hota hai.

Maine bhi jab first time adsense ke liye apply kiya thaa tab meri application bhi reject ho gayi thi. Kyonki maine iske liye koi tayari nahi ki thi or apply kar diya tha. Meri tarah aap bhi koi galti na kare iske liye niche diye gaye rules follow kijiye. 

AdSense Ko Kab Apply Karna Chahiye - jane hindi me

About Page -Adsense ke liye apply karne me sabse badi mistake ham ye karte hain ki
blog ke liye About Us page nahi banate hain. Kyonki hame pata nahi hota hai ki about us page hamare blog ke liye kitna important hota hai. Ye page reader ko batata hai ki blog ke pichhe kon hai. About page aapke or reader ke bichh me relation bhi banata hai or readers par apka bharosa bhi kayam karta hai. Isliye adsense apply karne se pehle About page jarur banaye.

Contact Us And Privacy Policy Page - Mera first time adsense reject hone ki wajah yehi page they jo maine nahi banaye they kyonki main samajh raha thaa ki ye koi jaruri chij nahi hai. Isliye main chahta hun ki aap ye galti na kare or apne blog ke Contact Us or Privacy Policy page jarur banaye.
Contact Us Page Kaise Banaye read kijiye ye post


Unique Content - Google love unique content. Blog ke liye content very important hota hai kyonki post content hi woh things hai jispar apke blog ki popularity depend karti hai. Unique post wale blog par traffic bhi jaldi badhta hai. 

Copyright Content -  Aap jo post blog par share kiye hai unme di gayi jankari aapki likhi huyi honi chahiye. or wo jankari aapne kahi se copy kiya hua nahi honi chahiye. agar AdSense ko aapke blog par kuch bhi copyright mila to AdSense account disapproved ho jayega.

Bounce Rate -  Bounce rate yani aapke visitors aapke blog par kitne time tak rukte hai or unhe aapke blog par di gayi jankari me kitna interest hai. AdSense ise bhi check karta hai. bounce rate badhane ke liye aap blog par commenting use kare or post me kam se kam 1000 words use kare. jisse visitor aapke blog par adhik time tak ruk sake.


SEO -  AdSense me apply karne se pahle apne blog ko google, bing, yahoo aur ask jaise search engine se submit kar le. jisse aapka blog search engine friendly ban jaye. jisse blog par acha traffic hoga or AdSense account jaldi approved ho jayega. SEO ki 10 master tricks in hindi read kijiye

Other Ads - Adsense ke liye apply kar rahe hain toh pehle aap jo bhi advertising programs use kar rahe ho unhe remove kar dijiye kyonki Google adsense un blog ko easily approved nahi karta jin par pehle se ad hote hain.

Dosto agar apka AdSense account approve nahi ho rha hai to aap Adnow ko join kar sakte hai. Adnow ko join karne ke liye yaha click kijiye.
AdSense Ko Kab Apply Karna Chahiye - Trick In Hindi AdSense Ko Kab Apply Karna Chahiye - Trick In Hindi Reviewed by Sumeet Dhiman on September 07, 2017 Rating: 5

1 comment:

Powered by Blogger.