Blog Par Traffic Lane Ki 10 Master Tricks In Hindi


Har blogger apne blog me traffic chahta hai magar Google ne bahoot sare changes kiye huye hai jiski bajah se website ko rank karwana thoda muskil sa kaam ho gya hai. apne blog par traffic lane ka sabse achha tarika hai Organic Search. Jaise meri site me maximum traffic Google aur yahoo se ata hai. Yha par main apko bata rha hun Blog Par Traffic Lane Ki 10 Master Tricks In Hindi blog par traffic kaise badhaye

 

10 master tricks blog par traffic lane ki

Fast Loading Template - Kya aap jante hai ki jab koi visitor kisi blog par visit karta  hai aur wo blog 3 second me open na ho to user dowara us blog par visit karne se bachta hai. Kuch bloggers apni template ki sidebar me bahoot se widgets install kar lete hai. Is se apke blog ki page speed kam ho jati hai. Aap apne blog ko ThinkWithGoogle ke sath test kar sakte hai. 

Research For Keywords - Ye sabse important part hai kisi bhi blog ke liye. Apka blog kis category ka hai usi se related keyword ka istemal karen  Aap keyword research ke liye Google ka Keyword Planner Tool ka istemal kar sakte hai. 

Check Permalinks - Jab bhi aap koi post publish karte hai to uska jo url hota hai use permalink kaha jata hai. Jydater blogger permalinks pe dhyan hi nahi dete. Permalinks ko edit krna bahoot hi jaruri hota hai. Aap is baat ka bhi dhyan rakhe ki permalinks jyda lambe na ho.

Social Sharing - Jab bhi aap koi article likhte ho to use publish karne ke baad social networking website par jarur share karen. Facebook, Google Plus, Linkedin, Pinterest aur twitter. In website ka bharpur fayda uthaye. 

Advertising on Facebook - Facebook sabse popular social networking website hai. Aise me traffic lane ke liye Facebook sabse bada source hai. Aap facebook par ad create karke apne blog par asaani se traffic pa sakte hain. 

Comments on blogs - Apka blog jis bhi niche ka hai use se milte julte high traffic blog ko search kare aur unke articles par comment kare. Is tarah se bhi apke blog par traffic kafi badh jata hai.

Create Trending Posts - Ajkal kya trend me chal rha hai in bato ko dhyan me rakh kar koi article publish kare. Trending articles se organic traffic to milta hi hai sath me social networking website se bhi kafi traffic mil jata hai. 

Reply To Comments - Apke blog par jo user comment karte hai unko reply jarur kare. Is se visitor par kafi impact padta hai aur wo dowara apke blog par ane se katrata nahi hai.

Guest Posting - 
Ye ajkal bahoot smart way ho gya hai traffic lane ka. New bloggers apne blog ki traffic ke liye isi chiz ka jyda istemal karte hai. Internet par koi bhi high traffic hindi blog ko search kijiye aur ek unique content wali post submit kar dijiye. Apki post apke naam aur blog ke link ke sath publish kar di jayegi. 


Create Video - Ye bhi bahoot hi smart way hai apne blog par traffic lane ka. Aap koi 5 ya 6 minutes ka video banao aur use YouTube par publish kar dijiye. Video ke description par apne blog ka link jarur lagaye.  



Blog Par Traffic Lane Ki 10 Master Tricks In Hindi Blog Par Traffic Lane Ki 10 Master Tricks In Hindi Reviewed by Sumeet Dhiman on September 03, 2017 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.