4 Reason Why We Should Not Use Dot.tk Domain - Hindi Me

Hume dot.tk domain kyu istemal nahi karna chahiye. आखिर क्यों हमें Dot.tk डोमेन इस्तेमाल नहीं करना चाहिए

4 Reason Why We Should Not Use Dot.tk Domain - Hindi Me

Internet ki duniya me ab apko bahoot se blogger mil jayenge. Iska main reason hai blogger ka free hona. Maine kuch time se India me kafi tech blogs ko dekha hai. Lagbhag sabhi blogger blogspot se hi suruat karte hai. Inme se jaydatar students hote hain jo domain ke liye paise kharch karna nahi chahte.


Ab agar koi paise kharch nahi karna chahta ho to sidhi si baat hai wo google me yahi search karega Free domain for blog aur zahir si baat hai search me Dot.tk ka naam sabse pahle aayega. Lekin free ke chakker me jydater bloggers apna blogging career kharab lete hain. Waise to kuch kuch bate Dot.tk ki achhi bhi hai. Par main is domain ko istemal karne ki salah kisi ko bhi nahi dunga. Niche me apko kuch reason bata rha hu jis se apko bhi pata lag jayega kyu hume free dot.tk domain istemal nahi karna chahiye.


Dot.tk domain kyu istemal nahi karna chahiye. 

1. SEO - Search Engine Optimization har blogger ki saflta ka raaz hota hai. Magar aap dot.tk domain istemal kar rahe hai to fir is chiz ka koi fayda nahi hone wala hai. Apka blog google search ke top me aayega hi nahi  chahe aap jitna bhi achha article likhte ho ya quality content provide karte ho. Agar koi apka content copy karke apne custom domain wale blog par paste karta hai to uska blog achha rank karega google par apka nahi. 

2. Advertisement -  Ajkal blogging ka maksad sirf aur sirf paisa kamana hi rah gya hai. Is baat se to aap bhi inkar nahi kar sakte. Lekin kya aap jante hai dot.tk domain se apka adsense account approve hone ke chance na ke baraber hai. Aise me agar apke blog me ads hi nahi lagegi to paise kaise kama paoge.

3. Domain Validity - Internet me free bus naam ke liye hi hota hai. Dot.tk bhi kuch isi karta hai. Apko domain to 1 saal ke liye mil jata hai lekin uske baad apko paise chukane hi padenge. Ab khud socho ek saal me apne apne blog ke liye jo mehnat ki hogi wo paisa na chuka pane ke karn sab bekar chali jayegi. Apka domain delete kar diya jayega.

4.Personal Experience - Dosto Dot.tk ke sath mera khud ka personal experience rah chuka hai. Maine blogging dot.tk domain ke sath 2010 se suru ki thi. Mere blog me achha traffic bhi milne laga tha. Lekin 1 saal ke baad main domain ko buy nahi kar paya aur mera blogging ka sapna tut sa gya. 

To dosto ye thi jankari kyu hume free dot.tk domain istemal nahi karna chahiye. Umeed karta hu apko meri post pasand aayi hogi. 
Sumit Kumar
www.tricksinhindi.com 

4 Reason Why We Should Not Use Dot.tk Domain - Hindi Me 4 Reason Why We Should Not Use Dot.tk Domain - Hindi Me Reviewed by Sumeet Dhiman on September 06, 2017 Rating: 5

2 comments:

  1. 4 Reason Why We Should Not Use Dot.tk Domain - Hindi Me

    ReplyDelete
  2. thanks for this useful article

    ReplyDelete

Powered by Blogger.