Blogger Template Se Footer Credit Kaise Remove Kare? Tricks In Hindi

  Premium Blogger Template Se Footer Credit Remove Karne Ka Tarika 

Blogging ke liye duniya ka sabse behtarin platform hai blogspot. Iska sabse bada reason hai free aur google ka product hona. Bahoot se bloggers blogspot se hi apni blogging ki journey start karte hai. Blogspot isliye bhi kafi famous hai kyuki hume bahoot sari free blog website templates mil jati hai.

Hume free blog website templates to mil jati hai par inme footer credit diya hota hai. Yani ki jis website se aap free blog website templates download karte ho uske footer us website ka link diya hota hai. Agar aap ise delete kar dete hai aur apne blog ka naam likh dete hai to apka blog redirect ho kar template owner ki website me pahunch jayega.

Jaise maan lo maine apne blog free blog website templates download karne ka link diya hua hai. Aap meri template ko apne blog me laga kar footer se Created by - TricksInHindi ko remove kar dete ho to koi bhi jab apke blog ko open karega to mera hi blog khulega. Lekin internet ki duniya me sab mumkin hai. Bus jarurat hai to research karne ki. Aaj main apko sikhane ja rha hu trick How to remove footer credit in blogger template.

  Free blog website templates se footer credit kaise remove karte hai

Credit romove karne ke 2 tricks hai. Ek to hai java script hi romove kar do aur doosra css se link ko hide kar dena. Free blog website templates se footer credit remove karne ke liye niche diye huye steps dhayan se follow kare. 

Steps to remove footer credit in blogger
  • Sabse pahle blogger.com me jaye
  • Login karke apna blog open kar lijiye
  • Ab jaye Dashboard > Theme > Edit HTML me.
  • Ab apko credit footer link search karna hai. Ise aap Copyright ya Designed keyword se search kar sakte hain.


Remove footer credit


Jab apko footer credit mil jaye to uske sath style='visibility: hidden' code ko paste kar dijiye.
Ab aap template ko save kar lijiye. Apne blog ko reload kijiye footer credit check karen.

 Also Read    Blogger Me Contact Us Page Kaise Banaye

To is tarah se aap footer credit ko remove kar sakte hai. I hope apko ye post aayi hogi. Agar apko code ko lekar koi problem aa rhi ho to mujhe comment box me puchh sakte ho. 
How to remove footer credit in free blog template
Blogger Template Se Footer Credit Kaise Remove Kare? Tricks In Hindi Blogger Template Se Footer Credit Kaise Remove Kare? Tricks In Hindi Reviewed by Sumeet Dhiman on August 11, 2017 Rating: 5

4 comments:

  1. बेहतरीन लेख ... तारीफ-ए-काबिल ... Share करने के लिए धन्यवाद। :)

    ReplyDelete
  2. kanha pest krna hai apne shi nhi likha artical

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bhai aap edit html me jaye fir search kare "copyright" waha par ye code add karna hai ( style='visibility: hidden' )

      Delete

Powered by Blogger.