Make simple spy device with this tricks . Is Trick Se Banaye Spy Device. Door Baithe Sun Sakte Hain Kisi Ki Bhi Awaaz
Purane samaan se kuch new technique bana dena hum Indians ki khas baat hai. Hamari
bhasa me ise jugaad kahte hai. Ghar me padha bekar saman kabhi kabhar bahoot useful
ho jata hai. Agar aap chahte hai ki apki gairmaujudgi me kon kon apke baare me kya
baate karta hai to ye aap is trick se badi asani se pta kar sakte hai. Is trick ko aap fun
masti ke liye bhi apna sakte hain. Aj hum apko batagenge ki kese ek matchbox se spy
device banaya ja skta hai.
Spy Device ko banane ke liye apko in chizo ki jarurt padegi.
> Ek khali Matchbox ya Plastic Cup
> Pencil ya graphite led
> Paper Knife ya Cutter
> Battery
> Clips
> Ek 3.5 earphone jack
> Crocodile Wire
Spy Device |
Spy Device banane ke liye sabse pehle aap khali matchbox ko lijiye. Ab matchbox ke
dono chhoti wali sides me 2-2 hole kijiye. Is baat ka dhayan rakhiye ki charo hole ek
sidhi line me hi ho. Ap ye kaam niddle ki help se bhi kar sakte hai.
Iske baad pencil ko knife ki madad se badi sabdhani se kaat lijiye. Hume iske under
wali graphite chahiye. Isliye dhayan rakhe ki pencil katne ya chhilne ke time ye graphite
tute nahi. Graphite nikalne ke baad ise brabar brabar 3 hisso me kat lijiye.
Ab 3 me se 2 Led ko aage ki tarf se nukila kar lijiye. Aap ye kaam knife ki madad se kar
sakte hain. Pichhe ke hisse ko ragad kar chokor size me bna lijiye. Yani ki inki golai
khatm kar dijiye. Jab dono Led ekdum taiyaar ho jaye to inhe matchbox ke hole ke aarpar
kar dijiy.
Ab iske baad jo tisra hissa bachega use dono led ke uper doosri tarf rakh dijiye. Niche
diye gye photo ko dekh sakte hai. Tisra hissa fisal na jaye iske liye knife ki help se aap
chhote chhote nishan bana kar unhe thoda thoda ghis lijiye. Isse hoga ye ki Led apni
jagah barkrar rahega.
Ab aap alag alag color ki crocodile wire lijiye or ek wire ko pencil led se connect kar dijiye. Iska doosra hissa battery se attach kar dijiye. Waise hi doosri wire ko doosri
pencil led se conntect kijiye or bache huye hisse ko 3.5 earphone jack ke sath jod dijiye.
Ab battery ka ek hissa ho bacha huya hai ise jack de doosri taraf laga dijiye. Agar aap
thode confuse ho rahe hai to koi baat nahi aap niche diye gye photo me sab samjh jayenge.
Ab aap matcbox ke kisi bhi hisse ko touch kijiye. Apko earphone ke speaker me awaz sunai
degi. Iska matlov apka microphone ab taiyar hai. Ab aagar aap jasusi karne ke liye ye trick
ajmana chahte hai to apko iske liye lambe wire ki jarurt padegi.
Kaise Banaye Spy Device. Door Baithe Sun Sakte Hain Kisi Ki Bhi Awaaz
Reviewed by Sumeet Dhiman
on
June 20, 2017
Rating:
बहुत ही बेहतरीन article लिखा है आपने। Share करने के लिए बहुत-बहुत धन्यवाद। :) :)
ReplyDeleteTRy करुगा आज एस device को बना कर. और information शेयर करने के लिए धन्यवाद.
ReplyDeleteStylish Name For Facebook
thanks
Deletewww.tricksinhindi.com
ReplyDelete