Webpage Ko Pdf Ya Jpg Me Badlne Ki Trick In Hindi

W ebpage ko Pdf ya Jpg me convert karne ki trick hindi me. How to convert webpage to pdf or jpg. Hello dosto aaj ki is post me main apko bataunga ki kaise aap kisi webpage ko Pdf file me convert kar sakte hai. Hum do tarh se kisi webpage ko pdf me convert kar sakte hai.

Convert webpage to pdf or jpg
Convert webpage to pdf or jpg
Kai baar hum online form fill karte hai fir uski ek print file chahiye hoti hai.
Keyboard se Prt Scr key press karke photoshop me paste kar dene se ye kaam easily ho jata hai par  Jin logo ko photoshop ki jaankari hoti hai wo to asaani se ye kaam kar lete hai. Magar jin logo ko photoshop ki jaankari nahi hoti unko thodi preshani ati hai.

Aise me kuch tricks hai jinki madad se aap asaani se kisi bhi webpage ko easily jpg ya fir pdf file me convert kar sakte hai. In sabhi tricks ki jaankari niche di gyi hai.

How to convert webpage to pdf or jpg

Agar aap webpage ko jpg me save karne ja rahe hai iske liye chrome browser me ek extension install kar lijiye. Is extension ka name hai screen capture. Iske liye Chrome store me jaye or search bar me Screen capture type karen. Ab extension ko download hone de. Ye khud hi install ho jayegi. 

Ab jis bhi webpage ko jpg me convert karna hai us page par is extension par click kar dijiye. Bus thodi hi der me apka webpage jpg me convert ho jayega. Ye jpg alag tab me open hoti hai. Ise aap save as kar sakte hai. 

Agar aap extension se ye kaam nahi karna chahte to fir online bhi webpage ko jpg me convert kar sakte hai. Iske liye aap www.convertwebpage.com

Agar aap webpage ko pdf file me save karna chahte hai to iske liye aap www.web2pdfconvert.com website me jayen. Ab aap jis bhi webpage ko pdf me badlne ja rahe hai uska URL copy kar lijiye. Ab is URL ko web2pdfconvert website ke text box me paste kar dijiye. 

Paste karne ke baad Convert to Pdf wale button par click kar dijiye. Thodi der process hone ke baad apka webpage pdf me badal jayega. Apko is file ko download karne ka link bhi diya jayega. Ise download kar lijiye aur jab chahe is file ko print karwa lijiye.

Umeed karta hun apko ye post achhi lagi hogi. Webpage Ko Pdf Ya Jpg Me Badlne Ki Trick In Hindi, How to convert webpage to jpg or pdf, किसी भी वेबपेज को पीडीएफ में बदलने का तरीका 
Webpage Ko Pdf Ya Jpg Me Badlne Ki Trick In Hindi Webpage Ko Pdf Ya Jpg Me Badlne Ki Trick In Hindi Reviewed by Unknown on November 13, 2016 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.